|
Sahebay Meraj hai mahway vilaayay Fatima(S.A.)
Poem by: Saleha Fatima Midhat
Toronto, Canada
SALAAM
Sahebay* Meraj hai mahway vilaayay Fatima*
Ae bashar tujh say na howegi sanaayay Fatima*
Kartay hai taazaam Bibi* ki malaaek khuld kay
Aor salaamay Kibriya aaya baraayay Fatima*
Dee panaaho haq numa hai zaoja-e-Mushkilkhush*
Deenay haq hoga udhar jis simt jaayay Fatima*
Dastay aqdas ki sakhawat Arsh ko chhoonay lagi
Ban gayee teri ata bhi Hal Ataa ae Fatima*
Ulfatay Zahra ki thhokar may rahengay takhto taaj
Saltanat Fizza ki dhoonday khaakay paayay Fatima*
Noor say Zahra* kay roshan ho gayay gyaara charaag
Aandhiya bujh jaayengi hogi ziyayay Fatima*
Baarhway maahay Imamat* ko na aayega zawaal
Hashr tak qaayem hai duniya may ziyayay Fatima*
Lakhtay dil aor khoonay dil dekar bachaaya Deen ko
Na’rayay TAKBEER may shaamil sadaayay Fatima*
Sajdayay Shabber say qaayem hai Deenay Kibriya
Hai baqa Islam ki jag may ataayay Fatima*
Arzay Midhat hai ki pursa lo Nabi*, Alay Nabi*
Hai bapa arzo sama may ab azaayay Fatima*
(S.A.W.A.S. OR A.S. is meant, where ever * appears).
|