A Poem in Praise of the Shuhada of the Islamic Revolution in Iran
By: Fatima Zabeth Beenesh, Hyderabad, India
Hai iftekhar hamko Iran ke shahido’n pe
Haq aj bhi zinda hai dunya ko dikhaya hai
Kia khub ran’ se tumne dushman ko bhagaya hai
Dunya thi muqabil me aur ek the tum tanha
Do dard e Husaini tha dunya ko bataya hai
Ghar bar apna chora khushyon se mu’n ko morha
Qurbaani ja’n ki deke Islam bachaya hai
Ho aaj tak bhi zinda tum qaum ki nazar me
Jaa’n bazo tumko ab tak har dil ne basaya hai
Hai iftekhar hamko Iran ke shahido’n pe
Soee hui ummat ko ja’n deke jagaya hai
Hai lala zar Iran Shabbir (A.S.) ka chaman hai
Tumne Husaini (A.S.) parcham Iran me uthaya hai
Kaise bayan kare’n hai qurbaniyan shaheedo
Har yaad ko tumhari ashkon se sajaya hai
kardenge jaa’n nichavar aabad rakha’nge ham
apne lahu se tumne gulshan jo sajaya hai
peetenge apna seena roenge aaj unpar
Islam par jinhonne khoon apna bahaya hai
Hathon ko uthakar ham ab ao kasam khaen
Ja’n denge Nabi(S.A.W.) par ham ye waqt vo aya hai
Hamrah unke Beenesh roenge umr bhar ham
Deen par jinhonne dilke tukhron ko lutaya hai
|