Pasbaan-e-Ummat-e-Muhammad (S.A.W.A.)
Poem in Urdu by Fatima Zabeth Beenesh, Hyderabad, India
Bigarda kaise hathon ne muqaddar ek millat ka
Milayen hath ao ulfaton ka aur himmat ka
Darinde hilagar bedar hain aur rah ke mish’al
Utho is khab se loha manalo apni jiddat ka
Utho sinon ko nur afroz ham Quran se kardalen
Natija kya nahi dekha zamane ki ye zulmat ka
Kamar tordo aadu ki zor-e-wahdat aur imaan se
Ke tare dekhlen din me karo var aisi shiddat ka
Ham apni jan fida karke jagaenge Musalmano ko
Nahi ahsas hai jinko zara bhi apni zillat ka
Samar paoge shireen zahmaton ka baagh-e-yazdan se
Fida hojao banker Pasban Muhammad (S.A.W.A.) ki Ummat ka
Falak ko karnaame mulhidon ke chu’gae Beenesh
Tu batlade Musalman hai maqam aisa bhi raf’at ka
|